Tuesday, August 20, 2013

                  Amabas Ka Suraj
                                                  Amabasya ki rat bahle hi kitni bhi kali kyon nahi ho, chahen kitni hi lambi kyon nahi ho ,   use khatam karne ek suraj jarur nikalta hai …….


Savan ki purnmasi  ki rat hai … aakash men kale kale badal ek hi disa men daure chale ja rahen hain …  aisa partit ho raha hai , jaise  badalon aur chand ke bich aankh – michauni ke khel  chal raha hai ……

 lakin hakikat kuchh aur hi hai  hai ………….

sach to ye hai ki wahan pe samjhauta varta chal raha hai …. Bare badal chhote badal ko samjhane ki koshish kar rahen hain ki apas men mil – jul ke raho , ekta men hi bal hai … jab ham ek sath rahenge to hamme   shakti aayegi , ham pani de payenge  …. kitna upakr hoga hamara … kitni duayen milengi  hame .. .. hamara jivan sarthak ho jayega ……….

Lakin ye jo chhote - chhote badal hain , jinki abhi paidaish hi hui hai , jinhone abhi is duniyan ko dekha hi nahi hai , unko isse kya matlab … unhe to is sansar  ko janne – dekhne ki desire hai … unhe is paropakar - samajkalyan se kya lena dena ..  aur wo itne bebkuph bhi to nahi hai …… unhe sab pata hai ….. jab wo barsenge to wo mar jayenge . wo in bare bujurg ke jaise thak bhi to nahi gaye hain ki baras ke mar jayen ..unhe pata hai ki ye jo bare bujurg hain wo apni jivan se thak chuke hain isliye  ab wo baras ke  mar jana chahten hain ……… Wo sochten hain marna hai to wo mare ham kyon ………. Isliye we bhage ja rahen hain aur bare – bujurg unhe samjhane unke pichhe pichhe ……..

       [i]




 




                                                            suraj, insaribaton  se  bekhavar , pichhle kayi ghante se is bargad ke per ke niche baitha, apni hi khayalon men gum hai . uski najre ektak  nadi ko dekh rahi hai,jam si gayi hai pani pe .  jaise kisi behad sukachhm chij ko  dekhna chah rahi ho ,bahte hue pani men.  ya apne kisi prasn ka uttar mang raha ho , is uphanti nadi se .  dekhke to koyi  aisa hi samajh baithega ……

         lakin , uski najren to sunya men hai. samne nadi pe hoke  bhi usko nahi dekh pa rahi hai . Wo to sirf uske  atit ko dekh rahi  hai. ek ek ghatna samne se aise gujar rahi hai ,jaise samne nadi ka pani …….

Wo sochta hai ---- kitna akela hun main  .koyi bhi to nahi hai mera apna . ek ek karke   sabonne mujhe akela chhor diya  . pahle babuji ,phir didi aur ant men man bhi .main hi kyon jinda hun ,mujhe maut kyon nahi aati ,kya karun is jivan se . wo sochta hai apne nam ke bare men  --- kitne ummid se rakkha  hoga man – babuji ne ye nam  ‘  Suraj ’ .  shayad is ummid se , sansar men chamkunga main . khandan ka nam raushan karunga ,suraj ki tarah …..    lakin bakt ne mujhe bilkul ulta hi  bana diya …  dubta suraj hun main  .kuchh bhi to nahi hai mere aage  , sibay andhere ke ….

  uski ankhen use 22 -23 sal pichhe leke chali jati hai …………

uski samne se gujarti  hai …. uske papa ki antim yatra .  Matr 4 -5 sal ka to tha wo …  Kitna bhola tha wo – kitna nasamajh … jise maut ka matlab tak pata nahi tha ..

 sara drisya jivant ho jata hai. wo  dekh raha hai …..

bich angan men ek khatiya hai . khatiye pe  papa leten hai . khatiye ko charon taraph se aurton ne gher rakha hai  .  sabhi jor – jor se chikh chillan rahen hain . har koyi  ron raha  hai,lakin wo  hanse jar aha hai.  man ron rahi hai,  didi bhi ron rahi hai , lakin wo thahaka laga raha hai .sabke anakhon men ansun hain ,bas wo  chhat ki sabse upari sidhi pe baitha  hans hans ke lot- pot ho raha hai .   maja aaraha hai use , is tamasha  men ….

samne ka drisya hi itna suhabna hai ,wo kyon nahi Hansen…… man papa ke sarir pe  apne sar ko patak - patak ke ron rahi hai to didi papa se lipat -lipat ke .paraus ki kaki ,kabhi apne dono hathon se dharti ko, to kabhi dono haton se apne kapar ko, thok thok ke ron rahin hain .wahin ek budhi dadi hain,jinke muh men ek bhi dant  nahi hai,muh andar dhash chukka hai ,jab roti hain to ajib dikhti hain ,nak tondhi se sat si sati hain  . ye jo rone balon ka ajab – gajab andaj hai ,rote samay  banana bala alag – alag mukhakiriti ,alag –alag kism ki aawaj hai, ye sab paryapt reason hai uske hansne ka …us sab ko dekh ke hi to wo hanse ja raha hai ….

 aur use mauka bhi to mila hai dil khol ke apni marji karne ka . hamesha gussane bale papa ,har bat pe dantne bale papa ,bilkul sant soyen hain .wo itna hansh raha hai lakin papa ne ek bar gussa ke dekha bhi nahi hai , dantna to dur ki bat hai.  Lambi bimari  ke karan chir chire swabhav ke ho gaye the . hamesha dantte rahte the , usko to jaise dantne ki kasam hi kha rakhi thi .isiliye to wo unke samne jane se katrata rahta tha .aaj bilkul sant lete hain .Ab nahi  hansega to kab hansega . jag jayenge to kya use is tarah se hansne denge.phir se wahi dant – phatkar suru ho jayegi .….. isliye to mauke ka pura phayda uthane men laga hai …..

tamasha aage badhta hai … papa ko samsan le jane ki taiyari suru ho jati hai ,use bahut maja aarha hai .yatra suru ho jati hai .sabhi log ‘ ram nam satya hai ’  bolte papa ke pichhe pichhe chal parten hain .wo bhi unke sath hai . bas antar hai bolne ke andaj men . har kisi ki aawaj dard se bhingi hai , lakin ye to jaise nara de raha . josh – umang – anand se bhar ke bol raha hai    … ram nam satya hai . kuchh der men samsan bhi aajata hai . chita saja di jati hai .mukhagni dene ki taiyari suru ho jati hai .mantrocharan suru ho jata hai aur ye chita ke phere .itni anand aaj tak use kisi bhi natak ko dekh ke nahi mila tha ,aur phir aag laga di jati hai .

 pahle to wo dur khara maja le raha hota hai is natak ka  ,lakin jaiise hi papa jalne lagten hain wo chikh parta hai .papa ko jagane daur parta hai, Papa use dantte the ,tab bhi wo unse bahut pyar karta tha ,jalne kaise dega unhe ,lakin log use pakar leten hain .use samjhaten hain ,jo mar janten hain use ham jala deten hain .use maut ki bhayanakta samajh men aajati hai .ab wo rona suru kar deta hai ,kayi dino tak rota rahta hai . jab bhi papa yad aaten hain , wo rota hai … aaj bhi wo ro parta hai …………..

   wo sochta hai –---kitna nadan tha main  ,maut ka matlab tak mujhe nahi pata tha .man ki duniyan ujar gayi thi aur main itna hansa tha. saphed rango men simat ke rah gayi thi uske bad, aur maine sirf use ek natak samajh liya tha .Shayad isiliye mujhe chhor ke chali gayi .

wo ek thandi aahen bharta hai aur phir se atit men kho jata hai .. kuchh aise drisya ko dekhne ki kosish karta hai ,jisse thori si khushi mile ,thora sa ji halka ho sake …..

 

 


  


 

Tuesday, August 13, 2013

Monday, August 12, 2013